To sign my guestbook, you need to signin first.
Samali15 11 years ago
Zindgi Aur Bata Tera Irada Kya Hai?
Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyar mile
Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile
Zindgi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Jo b Taqdeer banate hoon, Bigar jaati hai
Dekhte Dekhte Dunya hi Ujad jaati hai
Meri Kashti, Tera Toofaan se Wada kya hai
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Tu ne jo Dard diya, uski Qasam khate hoon
Itna zyaada hai ke, Ehsaas daba jate hoon
Meri Taqdeer bata, Aur Takaaza kya hai?
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Mai ne Jazbaat k Sang khelte Daulat dekhi
Apni Aankhon se Mohabbat ki Tijaarat dekhi
Aisi Dunya mai Mere waaste rakha kya hai?
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Aadmi chahe to Taqdeer badal sakta hai
Poori Dunya ki wo Tasveer badal sakta hai
Aadmi soch to le, uska Iraada kya hai?
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyaar mile
Mai ne Manzil ko Talasha,Mujhe Bazaar mile
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?